4 Sabse Badey (Kabira) Gunaah [Hadees: Sahih Bukhari 2653]
1 min readJan 21, 2020
۞ Hadees: Anas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) se Badey (Kabira) Gunaahon ke Baarey me pucha gaya:
Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya –
1. Allah ke Saath Kisi ko Sharik Karna (Shirk),
2. Waliden(Parents) ki Nafarmani Karna,
3. Kisi ki (Nahaq) Jaan Lena,
4. Aur Jhooti Gawahi Dena.
📕 Sahih Bukhari, Vol-4, Hadith no.2653
for more Hadith : https://ummat-e-nabi.com/4-badey-gunaah/